Afreen-Nusrat Fateh Ali Khan's...
Husn-e-jaana ki tareef mumkin nahi
Afreen afreen
Afreen afreen
Tu bhi dekhe agar to kahe hum-nashi
Afreen afreen
Afreen afreen
Aisaa dekha nahi khubsoorat koi
Jism jaise Ajanta ki murat koi
Jism jaise nigahon pe jadoo koi
Jism nagma koi, jism khusboo koi
Jism jaise machalti hui raagini
Jism jaise mehakti hui chandni
Jism jaise hai khilta hua ek chaman
Jism jaise hai suraj ki pehli kiran
Jism tarsha hua, dilkash-o-dilnashi
Sandali sandali
Makhmali makhmali
Afreen afreen
Afreen afreen
Aankhen dekhi to main dekhta reh gaya
Jaam do aur dono hi do aatisha
Aankhen ya maikade ke do baab hain
Aankhen unko kahoon, ya kahoon khwaab hai
Aankhen neechi hui to hayaa ban gayi
Aankhen oonchi hui to dua ban gayi
Aankhen uth kar jukhi to adaa ban gayi
Aankhen jhuk kar uthi to fazaa ban gayi
Aankhen jin mein hain qaid aasmaan-o-zamin
Nargisi nargisi
Surmayi surmayi
Seja o primeiro a comentar
Post a Comment