Tuesday, December 2, 2008

Main Qaidi No.786...



Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon,
Din, Mahiney, Saalon Ko Zat Mai Badalte Dekhta Hoon…

Is Mitti Se Mere Baoji Ke Khaithon Ki Khusbu Ati Hai,
Yeh Dhup Mere Mathay Ki Thandi Chaa Yaad Dila Ti Hai…

Yeh Baarish Mere Saavan Ki Jooloon Ke Sang Laati Hai,
Yeh Sardi Mere Lodi Ki Dil Ki Aag Sulagti Jaati Hai…

Woh Kehtay Hain Yeh Tera Des Nahi,
Phir Kiun Mere Des Jaisa Lagta Hai…

Woh Kehta Hai Mai Us Jaisa Nahi,
Phir Kiun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai…


Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon,
Sapno Ke Gaoon Se Utri Ek Nanhi Pari Ko Dekhta Hoon…

Kehti Hai Khud Ko Saamnay Aa Aur Mujhko Veer Bulaati Hai,
Hai Bilkul Begani Par Apno See Woh Lagti Hai…

Uski Sachi Baton Se Phir Jeenay Ko Man Karta Hai,
Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Man Karta Hai…

Woh Kehtay Hain Ke Woh Koi Nahi Thi,
Phir Kiun Woh Mere Liye Dunaya Se Larti Hai…

Woh Kehtey Hain Mai Us Jaisa Nahi,
Par Kiun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai…

Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon,
Apne Gaoon Ke Rangon Mai Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon…

Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud Ke Khwaab Bhool Chuki Hai Who,
Mere Logon Ki Saiwa Karke Apne Logo Ko Chor Chuki Hai Who...

Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai,
Uske Liye Ek Aur Zindagi Phir Jeenay Ko Jee Karta Hai…

Woh Kehtay Hain Mera Des Uska Nahi Phir Kiun Mere Ghar Woh Rehti Hai,
Woh Kehtay Hain Mai Us Jaisa Nahi Phir Kiun Mujh Jaise Woh Lagti Hai…

Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon…..


Seja o primeiro a comentar

niKHiL AgaRwAl - XpErIeNCe tHe TImE Pa$$... ©Template Blogger Green by Dicas Blogger.

TOPO